- Advertisement -
मुझे ग़रज़ है मिरी जान ग़ुल मचाने से
न तेरे आने से मतलब न तेरे जाने से
अजीब है मिरी फ़ितरत कि आज ही मसलन
मुझे सुकून मिला है तिरे न आने से
इक इज्तिहाद का पहलू ज़रूर है तुझ में
ख़ुशी हुई तिरे ना-वक़्त मुस्कुराने से
ये मेरा जोश-ए-मोहब्बत फ़क़त इबारत है
तुम्हारी चम्पई रानों को नोच खाने से
मोहज़्ज़ब आदमी पतलून के बटन तो लगा
कि इर्तिक़ा है इबारत बटन लगाने से
mujhe ġharaz hai mirī jaan ġhul machāne se
na tere aane se matlab na tere jaane se
ajiib hai mirī fitrat ki aaj hī maslan
mujhe sukūn milā hai tire na aane se
ik ijtihād kā pahlū zarūr hai tujh meñ
ḳhushī huī tire nā-vaqt muskurāne se
ye merā josh-e-mohabbat faqat ibārat hai
tumhārī champa.ī rānoñ ko noch khāne se
mohazzab aadmī patlūn ke baTan to lagā
ki irtiqā hai ibārat baTan lagāne se