ज़िक्र भी उस से क्या भला मेरा
उस से रिश्ता ही क्या रहा मेरा
आज मुझ को बहुत बुरा कह कर
आप ने नाम तो लिया मेरा
आख़िरी बात तुम से कहना है
याद रखना न तुम कहा मेरा
अब तो कुछ भी नहीं हूँ मैं वैसे
कभी वो भी था मुब्तला मेरा
वो भी मंज़िल तलक पहुँच जाता
उस ने ढूँडा नहीं पता मेरा
तुझ से मुझ को नजात मिल जाए
तो दुआ कर कि हो भला मेरा
क्या बताऊँ बिछड़ गया याराँ
एक बिल्क़ीस से सबा मेरा
zikr bhī us se kyā bhalā merā
us se rishta hī kyā rahā merā
aaj mujh ko bahut burā kah kar
aap ne naam to liyā merā
āḳhirī baat tum se kahnā hai
yaad rakhnā na tum kahā merā
ab to kuchh bhī nahīñ huuñ maiñ vaise
kabhī vo bhī thā mubtalā merā
vo bhī manzil talak pahuñch jaatā
us ne DhūñDā nahīñ patā merā
tujh se mujh ko najāt mil jaa.e
to duā kar ki ho bhalā merā
kyā batā.ūñ bichhaḌ gayā yārāñ
ek bilqīs se sabā merā