तुम्हारा हिज्र मना लूँ अगर इजाज़त हो
मैं दिल किसी से लगा लूँ अगर इजाज़त हो
तुम्हारे बा’द भला क्या हैं वअदा-ओ-पैमाँ
बस अपना वक़्त गँवा लूँ अगर इजाज़त हो
तुम्हारे हिज्र की शब-हा-ए-कार में जानाँ
कोई चराग़ जला लूँ अगर इजाज़त हो
जुनूँ वही है वही मैं मगर है शहर नया
यहाँ भी शोर मचा लूँ अगर इजाज़त हो
किसे है ख़्वाहिश-ए-मरहम-गरी मगर फिर भी
मैं अपने ज़ख़्म दिखा लूँ अगर इजाज़त हो
तुम्हारी याद में जीने की आरज़ू है अभी
कुछ अपना हाल सँभालूँ अगर इजाज़त हो
tumhārā hijr manā luuñ agar ijāzat ho
maiñ dil kisī se lagā luuñ agar ijāzat ho
tumhāre ba.ad bhalā kyā haiñ va.ada-o-paimāñ
bas apnā vaqt gañvā luuñ agar ijāzat ho
tumhāre hijr kī shab-hā-e-kār meñ jānāñ
koī charāġh jalā luuñ agar ijāzat ho
junūñ vahī hai vahī maiñ magar hai shahr nayā
yahāñ bhī shor machā luuñ agar ijāzat ho
kise hai ḳhvāhish-e-marham-garī magar phir bhī
maiñ apne zaḳhm dikhā luuñ agar ijāzat ho
tumhārī yaad meñ jiine kī aarzū hai abhī
kuchh apnā haal sambhālūñ agar ijāzat ho