- Advertisement -
ख़ुद से रिश्ते रहे कहाँ उन के
ग़म तो जाने थे राएगाँ उन के
मस्त उन को गुमाँ में रहने दे
ख़ाना-बर्बाद हैं गुमाँ उन के
यार सुख नींद हो नसीब उन को
दुख ये है दुख हैं बे-अमाँ उन के
कितनी सरसब्ज़ थी ज़मीं उन की
कितने नीले थे आसमाँ उन के
नौहा-ख़्वानी है क्या ज़रूर उन्हें
उन के नग़्मे हैं नौहा-ख़्वाँ उन के
ḳhud se rishte rahe kahāñ un ke
ġham to jaane the rā.egāñ un ke
mast un ko gumāñ meñ rahne de
ḳhāna-barbād haiñ gumāñ un ke
yaar sukh niiñd ho nasīb un ko
dukh ye hai dukh haiñ be-amāñ un ke
kitnī sarsabz thī zamīñ un kī
kitne niile the āsmāñ un ke
nauha-ḳhvānī hai kyā zarūr unheñ
un ke naġhme haiñ nauha-ḳhvāñ un ke