- Advertisement -
ख़ुद मैं ही गुज़र के थक गया हूँ
मैं काम न कर के थक गया हूँ
ऊपर से उतर के ताज़ा-दम था
नीचे से उतर के थक गया हूँ
अब तुम भी तो जी के थक रहे हो
अब मैं भी तो मर के थक गया हूँ
मैं या’नी अज़ल का आर्मीदा
लम्हों में बिखर के थक गया हूँ
अब जान का मेरी जिस्म शल है
मैं ख़ुद से ही डर के थक गया हूँ
ḳhud maiñ hī guzar ke thak gayā huuñ
maiñ kaam na kar ke thak gayā huuñ
uupar se utar ke tāza-dam thā
nīche se utar ke thak gayā huuñ
ab tum bhī to jī ke thak rahe ho
ab maiñ bhī to mar ke thak gayā huuñ
maiñ ya.anī azal kā ārmīda
lamhoñ meñ bikhar ke thak gayā huuñ
ab jaan kā merī jism shal hai
maiñ ḳhud se hī Dar ke thak gayā huuñ